
Top 10 Midsize SUVs May 2025- mein midsize SUV segment ka competition kaafi interesting raha. Hyundai Creta ne ek baar phir se top position banaye rakhi, jabki Mahindra Scorpio ne closely follow kiya. Iss baar kuch models ne zabardast growth dikhayi, toh kuch log neeche slide kar gaye.
Chaliye dekhte hain May 2025 ke Top 10 Midsize SUVs ki sales list aur unka performance pichle saal se compare karke
Top 10 Midsize SUV Sales – May 2025

Rank | SUV Model | May 2025 Sales | May 2024 Sales | YoY Growth (%) |
1 | Hyundai Creta | 14,860 | 14,662 | 1% |
2 | Mahindra Scorpio (N + Classic) | 14,401 | 13,717 | 5% |
3 | Toyota Hyryder | 7,573 | 3,906 | 94% |
4 | Mahindra XUV700 | 6,435 | 5,008 | 28% |
5 | Kia Seltos | 6,082 | 6,736 | -10% |
6 | Maruti Suzuki Grand Vitara | 5,197 | 9,736 | -47% |
7 | Tata Curvv | 3,063 | – | New Entry |
8 | Honda Elevate | 1,461 | 1,553 | -6% |
9 | Volkswagen Taigun | 1,126 | 1,561 | -28% |
10 | Tata Safari | 1,109 | 1,661 | -33% |
1. Hyundai Creta – Phir Se Top Par
Creta ne May mein 14,860 units bechi, jo pichle saal se thoda hi zyada hai (+1%). Lekin is segment mein steady rehna bhi badi baat hai.
2. Mahindra Scorpio – Desi King
Scorpio N aur Classic milakar Mahindra ne 14,401 units bechi. Yeh rural aur semi-urban areas mein ab bhi kaafi popular hai. 5% growth bhi impressive hai.
3. Toyota Hyryder – Sales Almost Double
Toyota Hyryder ne dhamaka kar diya – 94% growth ke saath 7,573 units beche. Hybrid hone ka fayda mil raha hai buyers se.
4. Mahindra XUV700 – Steady Rise
XUV700 ne 6,435 units bechkar 28% growth achieve kiya. Yeh ab bhi Mahindra ka most tech-loaded SUV hai aur naye markets mein pyaar mil raha hai.
5. Kia Seltos – Thodi Slowdow
Seltos ki sales mein 10% ki girawat aayi, ab sirf 6,082 units biki. Lekin 2026 mein iska next-gen model aane wala hai, jisme hybrid option bhi ho sakta hai.
6. Grand Vitara – Bade Giraawat Ke Saath
Maruti Grand Vitara ki sales mein 47% drop aaya – May 2024 mein 9,736 thi, ab sirf 5,197 units. Lagta hai competition ka pressure zyada ho gaya hai.
7. Tata Curvv – Nayi Entry, Zabardast Start
Tata Curvv, naye entrant hone ke bawajood 3,063 units ke saath 7th position par aa gaya. Stylish coupe design aur Tata brand trust ka asar clearly dikhta hai.
8–10: Low Sales for Elevate, Taigun & Safari
- Honda Elevate – 1,461 units (6% down)
- VW Taigun – 1,126 units (28% down)
- Tata Safari – 1,109 units (33% down)
Market Overview – Top 10 Midsize SUVs May 2025
- Total midsize SUV segment ki sales mein 10% ki girawat dekhi gayi.
- Hybrid aur tech-focused SUVs jaise Hyryder aur XUV700 kaafi demand mein hain.
- Kai models ab facelift ya next-gen versions ke liye ready ho rahe hain, jo aage competition ko aur interesting banayenge.
Kya Aage Hone Wala Hai?
2026 mein Kia Seltos ka next-gen version aur Tata Curvv EV jaise models aane wale hain. Iss wajah se segment mein naye trends aur shifts dekhne ko milenge.
Aise hi auto updates ke liye bane rahiye humare saath.